donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* suno baat us ki ulfat ka baDhana is ko kahte hai.n *

suno baat us ki ulfat ka baDhana is ko kahte hai.n

kaha shab khwab mei.n aa kar ki aana is ko kahte hai.n

qadam wadi-e-wahshat-nak-e-ulfat mei.n rakha hum ne

hazar aafat ka sar par uThana is ko kahte hai.n

hamari baat kaTi ghair ki taid ki us ne

ghaTana is ko kahte hai.n baDhana is ko kahte hai.n

jo ruThe hum to bole be-dili se tum ki aa mil ja

idhar ko dekhiyo kyu.n ji manana is ko kahte hai.n

dil-e-muztar ke bais roz-o-shab rahte hain bas larza.n

dar-o-diwar-e-khana tilmilana is ko kahte hai.n

wo dushman apna samjhe hai ba-dil mai.n dost hu.n jis ka

kahu.n kya aur par ulTa zamana is ko kahte hai.n

ye bole dekh sab taswir us ki aur meri yakja

pari-ru is ko kahte hai.n diwana is ko kahte hai.n

kiya hai shefta aalam ko apna us pari-ru ne

diwana ek jaha.n ko kar dikhana is ko kahte hai.n

ye chashm-e-gauhar-afsha.n hazrat-e-dil jalwa-farma hai.n

nikal ghar se dar-e-daulat pe aana is ko kahte hai.n

jo gulshan mei.n kisi ne dekh khilna ghuncha-e-gul ka

kaha bas aa ke ya.n lazzat uThana is ko kahte hai.n

tabassum kar ke yu.n mujh se kaha us shokh ne o-be

idhar ko dekh ada se muskurana is ko kahte hai.n

ghazal aur is zami.n mei.n paDhiye wo 'jurat' ki sun jis ko

kahe.n aashiq kalam-e-ashiqana is ko kahte hai.n


******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 209