tasawwur bandhte hai.n us ka jab wahshat ke mare hum
to phir karte hai.n aap hi aap kya kya kuchh ishaare hum
kahe hai yu.n dil-e-muztar se us bin jaan-e-gham-dida
chalo tum rafta rafta aate hai.n pichhe tumhaare hum
kai bar us ne dekha aaj chashm-e-qahr se hum ko
saza-war-e-uqubat to hue ai bakht bare hum
na mani dil ne apni aur na hum ne baat naseh ki
hamei.n kah kah ke haara wo use kah ke haare hum
wo jab aaina dekhe hai to kya kya muskuraata hai
samajh kar ye ki yani hai.n qayamat pyare pyare hum
mila lutf-e-sukhan kya khaak hum ko us ki mahfil mei.n
ki chup baiThe rahe ju.n naqsh-e-diwar ek kinare hum
hue hai.n chahne wale tumhaare saikDon paida
ye sach hai ji ki kis ginti mein hain yan ab bichaare hum
kisi mahwash ke gham ne kar diya na-taqat aisa hi
ki chhuTte dekhte hai.n akasr aankho.n aage tare hum
uTha kar aankh to tum dekh lo yan koi dekhe hai
zara qurban hone do hamei.n sadqe tumhaare hum
kare.n kya aah aur kis se kahe.n hum apni bechaini
kahi.n chain ab tere hatho.n nahi.n pate hai.n pyare hum
qarar ek ja nazar aata nahi.n hai be-qarari mei.n
gul-e-bazi ki surat phirte hai.n bas mare mare hum
hamei.n kya khatra-e-jaa.n hai ki hum hai.n nam ko 'jurat'
na hon phir kyu.n ki maidan-e-mohabbat mei.n utare hum
*****************