donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tegh-e-barra.n nikalo sahib *

tegh-e-barra.n nikalo sahib

dil ke arma.n nikalo sahib

ghar se rakhte ho qadam kyu.n bahar

na meri jaa.n nikalo sahib

dekh rahne se khafa ho to meri

chashm-e-haira.n nikalo sahib

hai ye nasur-e-jigar ki batti

tum na paika.n nikalo sahib

rahne do ghar mei.n na mujh par nahaq

rakh ke bohta.n nikalo sahib

bar aghyar ko khalwat mei.n na do

hain bad insan, nikalo sahib

hai meri tarah tumhaara kahi.n dhyan

dil se ye dhyan nikalo sahib

gali nahaq na kisi ke haq mei.n

munh se har aan nikalo sahib

hae ye ranjish-e-beja dil se

kisi unwan nikalo sahib

sar-e-bazar na baiTha karo tum

kuchh to ab shan nikalo sahib

garm-bazari ki khatir sar-e-rah

tum na dukan nikalo sahib

hasrat-e-wasl hai 'jurat' ko kamal

lo ye arman nikalo sahib


**************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 245