ulfat se ho khaak hum ko lahna
qismat mei.n to hai azab sahna
dhyan us ke mei.n hum ko sar-ba-zanu
aankhe.n kiye band baiThe rahna
mu.nh chahiye chahne ko yu.n ji
kya tum ne kaha ye phir to kahna
allah-re sadgi ka aalam
darkar nahi.n kuchh us ko gahna
kar band na ashk-e-chashm-e-tar ko
behtar nasuur ka hai bahna
qaem rahe kya imarat-e-dil
buniyaad mei.n to paDa hai Dhahna
shab ghar jo raha mere wo mehma.n
tha subh ye kis ada se kahna
taqat na rahi badan mei.n he he
qurban kiya tha ya.n ka rahna
dil ne bhi diya na sath 'jurat'
kya dosh kisi ko dije lahna
******************