donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jis ke talib hai.n wo matlub kahi.n baiTh raha *

jis ke talib hai.n wo matlub kahi.n baiTh raha

muntazir hum ko biTha KHub kahi.n baiTh raha

bas ki likkhi thi mai.n haalat dil-e-gum-gashta ki

kho ke qasid mera maktub kahi.n baiTh raha

dekhe.n kya aankh uTha kar ki hamei.n to nahaq

aankh dikhla ke wo mahbub kahi.n baiTh raha

sham se jaise niha.n mahr ho so wasl ki raat

mu.nh chhupa kar wo is uslub kahi.n baiTh raha

hai meri khana-nashini se ye ghar ghar mazkur

khail-e-ushshaq ka sarkub kahi.n baiTh raha

jaana mai.n us ka na aana ki samajh kar wo shokh

baiThne ko mere mayub kahi.n baiTh raha

bud-o-bash apni kahe.n kya ki ab us bin yu.n hai

jis tarah se koi majzub kahi.n baiTh raha

awwal-e-ishq mei.n surat ye bani 'jurat' ki

ho ke aaKHir ko wo mahjub kahi.n baiTh raha

*********************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 278