donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jo rah-e-mulaqat thi so jaan gae hum *

jo rah-e-mulaqat thi so jaan gae hum

ai khizr-e-tasawwur tere qurba.n gae hum

jamiyyat-e-husn aap ki sab par hui zahir

jis bazm mei.n ba-haal-e-paresha.n gae hum

us ghar ke tasawwur mei.n ju.n hi band ki.n aankhe.n

sad-shukr ki be-minnat-e-darba.n gae hum

kal waqif-e-kar apne se kahta tha wo ye baat

'jurat' ke jo ghar raat ko mehma.n gae hum

kya jaaniye kam-bakht ne kiya hum pe kya sehr

jo baat na thi manne ki maan gae hum

*********************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 332