donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kab baiThte hai.n chain se iza uThae bin *

kab baiThte hai.n chain se iza uThae bin

lagta nahi.n hai ji kahi.n lagga lagae bin

jab tak na be-qarar ho.n paDta nahi.n qarar

aata nahi.n hai chain hamei.n tilmilae bin

be-ah-o-nala mu.nh se nikalti nahi.n hai baat

hairan baiThe rahte hai.n aansu bahae bin

zinda.n lage hai ghar jo kisi ka na ho.n asir

aate nahi.n ba-khud kahi.n hum aae jae bin

diwane gar na ho.n to pari-ru na dekhe.n sair

bigDe hai baat haal-e-pareshan banae bin

jumbish na dast-o-pa mei.n ho be-shorish-e-junu.n

afsurda-taba rahte hai.n dhume.n machae bin

gar ho na dard-e-ishq to be-dard hum kahae.n

kuchh lutf-e-guftugu hi nahi.n hae-wae bin

kya josh-e-taba ho na mai-e-ishq gar piye.n

kuchh kaifiyat nahi.n hai ye pyala pilae bin

gar bar mei.n ho na koi to pahlu-tahi rahe

kya baiThna hai zanu se zanu bhiDae bin

koi na de dikhai to kya khak dekhiye

rahte asir-e-gham hai.n kisi ke bulae bin

afkar saikDon hon agar ho na fikr-e-ishq

warastagi kaha.n hai kahe.n ji phansae bin

qatil se gar na miliye to 'jurat' hamari kya

jun gul shagufta ho na koi zakhm khae bin

******************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 377