donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ba-chaman ab wo kiya chahe hai mai-nosh guzar *

ba-chaman ab wo kiya chahe hai mai-nosh guzar

jald ai paik-e-saba gul ke ye kar gosh-guzar

nahi.n malum kaha.n jate hai.n jo.n nashsha-e-mai

jidhar in rozo.n mei.n hum karte hai.n madhosh guzar

bazm mein mujh ko jo dekha to ye jhunjhla ke kaha

aisi mahfil mein kare hai meri pa-posh guzar

sar-nigun kucha-e-ruswai mein hain aaj talak

sau KHarabi se jo is dar pe kiya dosh guzar

aashiq us parda-nashin ke hain ki gar samne se

kabhi guzre hai to karta hai wo ru-posh guzar

chand roza hai ye mai-KHana-e-hasti yan to

umr ghaflat mein na ai be-KHirad-o-hosh guzar

aa phansa ishwa-o-andaz-o-ada mein yun dil

rahzanon mein kare jon rah-faramosh guzar

ham-safar hain to ye hasrat hai ki kije koson

ek sawari mein hue us se ham-aghosh guzar

qadr-dan koi suKHan ka na raha ai 'jurat'

kunj-e-tanhai mein auqat to KHamosh guzar


*****************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 249