kab koi tujh sa aaina-ru ya.n hai dusra
hai tu tera hi aks numaya.n hai dusra
puchh us ki mat khabar jise naseh siye tha to
wo dhajjiya.n uDa ye gareba.n hai dusra
shakl un ki ye hai jo ki hai.n mahw-e-jamal-e-yar
shashdar khaDa hai ek to haira.n hai dusra
rukh us ka dekhiyo shab-e-mahtab mei.n koi
goya zami.n pe ye mah-e-taba.n hai dusra
kya dil jigar ki kahiye tamanna-e-wasl mei.n
hasrat bhara hai ek pur-arma.n hai dusra
wadi-e-ishq mei.n hamei.n barso.n yu.n hi kaTe
ek dasht tai kiya ki bayaba.n hai dusra
tere khiram-e-naz ke sadqe ki kab koi
aisa chaman mei.n sarw-khirama.n hai dusra
gham-khwar-o-munis ab tere bimar ke hai.n yu.n
taski.n ek de to hirasa.n hai dusra
'jurat' ghazal paDh aur ek aisi ki sab kahe.n
kab is tarah ka koi ghazal-khwa.n hai dusra
**********************