kaun dekhega bhala is mei.n hai ruswai kya
khwab mei.n aane ki bhi tum ne qasam khai kya
us ka ghar chhoD ke hum to na kisi dar pe gae
par samajhta hai use wo but-e-harjai kya
sunte hi jis ke hui jaa.n hawa tan se mere
is gali se ye khabar baad-e-saba lai kya
wah mai.n aur na aane ko kahu.nga tauba
mai.n to haira.n hu.n ye baat aap ne farmai kya
bah chala chashm se yakbar jo ek dariya sa
baiThe baiThe mujhe kya jaane ye lahr aai kya
harf-e-matlab ko mere sun ke ba-sad-naz kaha
hum samajhte nahi.n bakta hai to saudai kya
shaikh-ji hum to hai.n nada.n par use aane do
hum bhi puchhe.nge hui aap ki danai kya
kaifiyat mahfil-e-khuba.n ki na us bin puchho
us ko dekhu.n na to phir de mujhe dikhlai kya
aaj dam apna Thaharta nahi.n kya jaaniye aah
maslahat logo.n ne wa.n baiTh ke Thahrai kya
bar mei.n wo shokh tha aur sair-e-shab-e-mah thi raat
apne ghar kya kahe.n thi anjuman-arai kya
par gaya subh se wo ghar to yahi dhaDka hai
dekhe.n aaj us ka ewaz le shab-e-tanhai kya
dekhne ka jo karu.n us ke mai.n dawa 'jurat'
mujh mei.n jurat ye kaha.n aur meri binai kya
*****************