donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kis ja na be-qarari se mai.n khasta-tan gaya *

kis ja na be-qarari se mai.n khasta-tan gaya
par dekhne ka us ke kahi.n Dhab na ban gaya
kis kis tarah ki ki khafagi dil ne mujh se aah
ruTha kisi ka yar kisi se jo maan gaya
yaro jaha.n mei.n ab kahi.n dekhi wafa ki chaal
jaane do ye na zikr karo wo chala.n gaya
sausan zaba.n nikale jo nikli to zer-e-khak
kya jaaniye ki kaun ye tishna-daha.n gaya
ai ishq sach to ye hai ki shiri.n ne kuchh na ki
hasrat ka koh dil pe liye kohka.n gaya
bas naseha ye tir-e-malamat kaha.n talak
baato.n se teri aah kaleja to chhan gaya
kal us sanam ke kuche se nikla jo shaikh-e-waqt
kahte the sab idhar se ajab barhama.n gaya
paida ye hijr-e-yar mei.n wahshat hui ki aah
is dil ka wasl mei.n bhi na diwana-pan gaya
hairan hai tujh ko dekh ke 'jurat' meri to aql
do chaar din mei.n kya ye tera haal ban gaya

****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 233