donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* mai.n kaha ek ada kar to laga kahne u.n-hu.n *

mai.n kaha ek ada kar to laga kahne u.n-hu.n
dekh Tuk aankh chura kar to laga kahne u.n-hu.n
sab se hansta tha wo kal, ro ke jo mai.n bol uTha
hum se bhi Tuk tu hansa kar to laga kahne u.n-hu.n
mai.n kaha dil ko mai.n le jau.n to bola wo ki hun.
le chala jab mai.n uTha kar to laga kahne u.n-hu.n
mai.n kaha sabr o dil o din ne wafa hum se na ki
be-wafa tu to wafa kar to laga kahne u.n-hu.n
mai.n kaha jam-e-mai pite ho to bola wo ki hu.n
jab kaha lau.n chhupa kar to laga kahne u.n-hun.
mai.n kaha sohbat-e-aghyar bari hai pyare
un se itna na mila kar to laga kahne u.n-hu.n
mai.n kaha ishq ko izhaar karu.n bola hu.n
jab kaha kahta hu.n ja kar to laga kahne u.n-hu.n
mai.n kaha samjhe hai aazar mera bola hu.n
jab kaha kuchh to dawa kar to laga kahne u.n-hu.n
mai.n kaha ab teri duri se hai 'jurat' be-tab
kuchh to kah pas bala kar to laga kahne u.n-hu.n

*******************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 212