donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* matlab ki kah sunau.n kisi baat mei.n laga *

matlab ki kah sunau.n kisi baat mei.n laga
rahta hu.n roz-o-shab mei.n isi ghat mei.n laga
mahfil mei.n muztarib sa ju dekha mujhe to bas
kahne kisi se kuchh wo ishaaraat mei.n laga
hote hi wasl kuchh khafaqa.n sa use hua
dhaDka ye be-tarah ka mulaqat mei.n laga
kal raat hum se us ne to puchhi na baat bhi
ghairo.n ki ya.n talak wo mudaraat mei.n laga
aaya hai abr ghir ke ab aane mei.n saqiya
tu bhi na der mausam-e-barsat mei.n laga
masjid mei.n sar-ba-sajda hue hum to kya ki hai
kam-bakht dil to bazm-e-kharabaat mei.n laga
ghaTTe pe apne mathe ki naza.n jo ab hue
ye dagh shaikh-ji ke karamat mei.n laga
gar mujh ko karKHana-e-taqdir mei.n ho dakhl
roz-e-qayam wasl ki duu.n raat mei.n laga
parwaz ta-ba-arsh agar tu ne ki to kya
sayyaad-e-marg hai teri nit ghat mei.n laga
waqt-e-akhir aae tere kaam jo dila
ab dhyan-gyan apna us auqat mei.n laga
'jurat' hamari baat pe aaya na ya.n tu aah
kya jaaniye kisi ki wo kis baat mei.n laga

******************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 226