donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* wa.n hai ye bad-gumani jawe hijab kyu.nkar *

wa.n hai ye bad-gumani jawe hijab kyu.nkar
do din ke waste ho koi kharab kyu.nkar
qasid jawab-e-khat hum likh den shitab kyu.nkar
wan to jawab manga likhiye jawab kyu.nkar
khwab-o-khayal suna ya.n ho gaya hai jis bin
haira.n huu.n mai.n ki us ko aawe hai khwab kyu.nkar
us sabza-rang ki hai garmi-e-husn goya
chamke hai mahr dekho zer-e-sahab kyu.nkar
kahti hai.n chitwane.n yu.n ban-Than ke jab wo nikle
ab dekhne ki dekhe.n lawega tab kyu.nkar
wo wasl mei.n bhi hans hans puchhe hai lo batao
kal roengi tumhaari chashm-e-pur-ab kyu.nkar
dil jis se lag gaya hai wo chhup raha hai hum se
dauDe phire.n na har su pur-iztirab kyu.nkar
allah-re bhulapa mu.nh dho ke khud wo bole
sungho to ho gaya ye pani gulab kyu.nkar
chaalakiyo.n ko sun kar us ghairat-e-pari ki
gar ruk ke kahiye us ki hum laen tab kyu.nkar
to yu.n lage jatane miya.n tum to ho diwane
rahne de hum ko nichla ahd-e-shabab kyu.nkar
awwal bhi khak hi the aakhir bhi khak honge
har dam kahe.n na 'jurat' ya bu-turab kyu.nkar

*****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 229