donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* wa.n se ghar aa ke kaha.n sona tha *

wa.n se ghar aa ke kaha.n sona tha
subh tak yaad thi aur rona tha
jab hui subh to bistar se phir uTh
girya-e-khuuni se mu.nh dhona tha
dho chuke mu.nh ko to kisht-e-dil mei.n
tukhm gham ka hamei.n phir bauna tha
bo chuke tukhm to paya ye samar
ki jigar-kawi thi ji khona tha
ji ke khone ke ho darpai ye kaha
ki nasibo.n mei.n yahi hona tha
hona qismat ka kahe.n kya ta-sham
hum the aur ghar ka bas ek kona tha
kone lag baiThe to 'jurat' ai wae!
phir wahi raat thi aur rona tha

***************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 321