donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* baghair us ke ye hairan hain baghal dekh apni khali hum *

baghair us ke ye hairan hain baghal dekh apni khali hum

ki karwaT le nahin sakte hain jun taswir-e-qali hum

koi aatish ka parkala jo waqt-e-khwab yaad aawe

to samjhen kyun na angare ye gul-ha-e-nihaali hum

irada gar kiya dushnam dene ka ab ai pyare

to lab se lab mila kar bas teri kha lenge gali hum

na ho pahlu mein apne jab wo sabza rang hi zalim

to phir kis rang kaTen ye bala se raat kali hum

laDi hai aankh us se jo ye chitwan mein jatata hai

kisi ki kya hamei.n parwa hai.n apne la-ubaali hum

na ho wo sim-tan pas apne jab sair-e-shab-e-mah mei.n

kare.n to dekh kya bas ek piital ki si thaali hum

jo ho dur-az-khayal-e-'mani'-o-'bahzad' har surat

baghair-az-mu-qalam khinchi.n wo taswir-e-khyali hum

kare.n wasf-e-jamal-e-yar mei.n ek sher gar mauzu.n

to samjhe.n intikhab-e-jumla asha-e-jamali hum

ba-kunj-e-be-kasi paDhte hain jo hum marsiya dil ka

to hai.n aap hi jawabi aur aap hi hai.n sawali hum

wo Duba itr mein ho mast-e-mai masruf-e-sair-e-gul

aur us ko is rawish dekhe.n darun-e-bagh-e-khali hum

gul-e-ummid to shayad ki apna bhi shagufta ho

tajjub kuchh nahi.n gar pae.n phal pate sahaali hum

zi-bas haalat-e-ishq ab hum pe tari hai sada 'jurat'

ba-tarz-e-ashiqana kahte hai.n ashaar-e-'haali' hum

******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 274