donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yaad aata hai to kya phirta hu.n ghabraya hua *

yaad aata hai to kya phirta hu.n ghabraya hua
champai rang us ka aur jauban wo gadraya hua
baat hi awwal to wo karta nahi.n mujh se kabhi
aur jo bole hai kuchh mu.nh se to sharmaya hua
ja ke phir aau.n na jau.n us gali mei.n dauD dauD
par karu.n kya mai.n nahi.n phirta hai dal aaya hua
be-sabab jo mujh se hai wo shola-khuu sargarm-e-jang
mai.n to haira.n hu.n ki ye kis ka hai bhaDkaya hua
wo kare azm-e-safar to kijiye duniya se kuch
ye irada hum ne bhi dil mei.n hai Thahraya hua
nok-e-mizhga.n par dil-e-pazh-murda hai yu.n sar-nigun
shakh se jhuk aae hai ju.n phuul murjhaya hua
jau.n jau.n kya lagaya hai miya.n baiThe raho
hu.n mai.n apni zist se aage hi uktaya hua
teri duri se ye haalat ho gai apni ki aah
an-qarib-e-marg har ek apna ham-saya hua
kya kahe.n ab ishq kya kya hum se karta hai suluk
dil pe be-tabi ka ek pyaada hai biThlaya hua
hai qalaq se dil ki ye haalat meri ab tu ki mai.n
chaar-su phirta hu.n apne ghar mei.n ghabraya hua
chupke chupke apne apne dil mei.n sab kahte hai.n log
kya bala wahshat hui hai is ko ya saya hua
hukm bar-e-majlis ab 'jurat' ko bhi ho jae ji
ye bichaara kab se darwaze pe hai aaya hua

*****************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 424