donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ya.n us gali sa kab koi busta.n hai dusra *

ya.n us gali sa kab koi busta.n hai dusra
han kuchh jo hai to rauza-e-rizwa.n hai dusra
har dam ye do adu hai.n pae-jaan-e-na-tawa.n
ek dard-e-ishq hai gham-e-hijra.n hai dusra
hai turfa jaan-o-dil ka dam-e-iztirab haal
roke.n jo ek ko to gureza.n hai dusra
aaina jab wo dekhe to kahti hai.n chitwane.n
sach hai ki hum sa kab koi insa.n hai dusra
wo ruk ke uTh chala to use kyu.nki rokiye
ek dast hai ba-dil ba-gareba.n hai dusra
us ghar ke dar pe jab hue hum khaak tab khula
darwaza aane jaane ko aur ya.n hai dusra
kya dil jigar ki us ki gali mei.n kahe.n khabar
ek mar gaya ek aa.n ka mehma.n hai dusra
rahiye hamare dil mein ki laeq tumhaare kab
aisa maka.n ba-kishwar-e-daura.n hai dusra
Tuk suniyo zamzame mere dil ke ki bagh mei.n
kab is tarah ka murgh-e-khush-alhaan hai dusra
hai turfa qismat apni ki jis ja ho ek dost
wa.n dekhiye to jaan ka khwaha.n hai dusra
yani nashist Thahri kal us dar pe thi so hae
dekha jo aaj ja ke to darba.n hai dusra
yakta hai do jaha.n mei.n 'jurat' ali ki zaat
aisa na koi ya.n na koi wa.n hai dusra

**************
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353