donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ye ghazab baiThe-biThae tujh pe kya nazil hua *

ye ghazab baiThe-biThae tujh pe kya nazil hua
uTh chala duniya se kyu.n tu tujh ko ai dil kya hua
shakl hi aisi banai hai teri allah ne
mat khafa ho gar hua mai.n tujh pe mail kya hua
in dino.n haalat teri pata hu.n mai.n apni si yar
khuub-ru tujh sa koi tere muqabil kya hua
ai but-e-khu.nkhaar ek zakhmi tere kuche mei.n tha
so kai din se khuda jaane wo ghael kya hua
zang ho kar qais ka dil karwa.n-dar-karwa.n
nit ye kahta hai ki wo laila ka mahmil kya hua
fikr-e-marham mat karo yaro ye batlao mujhe
jis ke hatho.n mai.n hua zakhmi wo qatil kya hua
tha jigar to TukDe TukDe bar mei.n kyu.n taDpe hai tu
kyu.n dila tegh-e-jafa se tu bhi bismil kya hua
ranjishe.n aisi hazar aapas mei.n hoti hai.n dila
wo agar tujh se khafa hai tu hi ja mil kya hua
apne begane sabhi hai.n mat uTha mahfil se yar
gar kisi Dhab se hua ya.n mai.n bhi dakhil kya hua
dekhte hi teri surat mujh ko ai aaina-ru
sakht hairat hai ki pahlu mei.n nahi.n dil kya ho
soch rah rah kar yahi aata hai ai 'jurat' mujhe
khalq karne se mere khaliq ko hasil kya hua

******************
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362