donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* baiThe to pas hai.n par aankh uTha sakte nahi.n *

baiThe to pas hai.n par aankh uTha sakte nahi.n

ji laga hai pa abhi hath laga sakte nahi.n

dur se dekh wo lab kaTte hai.n apne honTh

hai abhi pas-e-adab honTh hila sakte nahi,n

takte hai.n us qad o rukhsar ko hasrat se aur aah

bhench kar khoob sa chhati se laga sakte nahi.n

dil to in pa.nw pe loTe hai mera waqt-e-khiram

shab ko duzdi se bhi par un ko daba sakte nahi.n

chor se raat khaDe rahte hai.n is dar se lage

par jo matlub hai wo jins chura sakte nahi.n

rijhte un ki adao.n pe hai.n kya kya lekin

mare andeshe ke gardan bhi hila sakte nahi.n

dekh rahte hai.n wo aaina-e-zanu us ka

par kisi shakl se zanu ko bhiDa sakte nahi.n

qaede kya hamei.n malum nahi.n ulfat ke

be-kam-o-kast magar un ko paDha sakte nahi.n

chipke tak rahte hai.n rang us ka bhabuka sa hum

aah par dil ki lagi apni bujha sakte nahi.n

kya ghazab hai ki wahi bole to bole az-khud

hum unhe.n kyu.n ki bulawe.n ki bula sakte nahi.n

garche ham-khana hai.n 'jurat' pa hamare aise

bakht soe ki kahi.n sath sula sakte nahi.n


******************

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 248