donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* barham kabhi qaasid se wo mahbub na hota *

barham kabhi qaasid se wo mahbub na hota

gar nam hamara sar-e-maktub na hota

khuban-e-jahan ki hai tere husn se khubi

tu khoob na hota to koi khoob na hota

islam se bargashta na hote ba-Khuda hum

gar ishq-e-buta.n taba ke marghub na hota

kyu.n pher wo deta mujhe le kar mere bar se

itna jo dil-e-zar ye mayub na hota

is but ko Kkuda laya hai hum pas wagarna

jine ka hamare koi usloob na hota

dil aaj ke din pas jo hota mere to aah!

aane se mai.n us shokh ke mahjub na hota

hai.n lazim-o-malzum baham husn o mohabbat

hum hote na talib jo wo matlub na hota

sar apna rah-e-ishq mei.n deta jo na 'jurat'

tu majma-e-ushshaq ka sarkub na hota


********************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 255