KHATEEB RAFATHULLAH RAFATH, AMBURI
Na lab hil sakey aur na kuch baath ki
Ajab baath dekhi mulakat ki
Junoon e muhabbat ke lamhey taweel
Ajab kifaiat ab hai jazbaat ki
Qiyamat ki hans hans ke karthey hain baat
Unhen kiya khabar hijar ki raat ki
Nigahon ne sub haal e dil keh diya
Magar chup hai gardish bhi halaat ki
Bohut yaad aatey hain maazi ke din
Hawayen jo chalti hain barsaat ki
Khuda yaad aata hai RAFATH mujhey
Ghadi jab bhi aati hai aafat ki
*******