phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahi.n
uD ke mai.n pahunchu.n chaman mei.n kya karu.n par wa nahi.n
ji jala kar ek bosa mangte hai.n bar se
aage ya qismat wo dekhe.n ha.n kare hai ya nahi.n
hasrat o hirma.n o yas o hairat ranj o tab
kya kahu.n is hijr mei.n kya kya hai aur kya kya nahi.n
har kisi se lag chale kya zikr hai imka.n kya
hum use pahchante hai.n KHub wo aisa nahi.n
chaar unsur ki ghazal 'rangin' kaho tum dusri
hai qasam tum ko ali-ji ki ye mat kahna nahi.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸