donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shah Alam Sani Aftab
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aajiz hu.n tere hath se kya kaam karu.n mai.n *

aajiz hu.n tere hath se kya kaam karu.n mai.n
kar chaak gareba.n tujhe badnam karu.n mai.n
hai daur-e-jaha.n mei.n mujhe sab shikwa tujhi se
kyu.n kuchh gila-e-gardish-e-ayyam karu.n mai.n
aawe jo tasarruf mei.n mere mai-kada saqi
ek dam mei.n KHumo.n ke KHume.n inam karu.n mai.n
haira.n hu.n tere hijr mei.n kis tarah se pyare
shab roz ko aur subh ke tain sham karu.n mai.n
mujh ko shah e alam kiya us rab ne na kyu.nkar
allah ka shukrana inam karu.n mai.n

******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329