donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Facebook Ghazal *
           Facebook Ghazal


Waahwaahi ka naya pandaal hai,
Facebook hai ya koee chaupaal hai !

Haa'n wo qalmi-dosti ka daur tha, 
Ab ye 'aksi-dosti' ka jaal hai.

Facebook ke dost 'aksi dost' hai'n,
Aaina ek-doosre ka haal hai.

Jisko dekho, khud-numaaee mei'n hai mast,
Khud-sataaee naama-e-aamaal hai.

Chahchaho'n ke 'continental perh' hai'n,
Gapp ladaane ko 'global daal' hai.

Munkashif ek-doosre per sab-ke-sab,
Maaike hai aur kya susraal hai  !

Quissa-e-tasveer hai, tahreer hai,
Daastan-e-roz-o-maah-o-saal hai.

Jitni chaahe, jaisi chaahe raai do,
Dooor-tak jam'hoor ki chaupaal hai. 

Dil mei'n 'Shahid', chaahe jitna dard ho!
Facebook per aadmi khush'haal hai !!
                       ***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361