* hawa k hath p likha hai teray naam ye khat *
hawa k hath p likha hai teray naam ye khat
k jis me is dil e gumnam ki kahani hai
adhooray khwab ki rangeen khamshi oorahay
akaili rah p bichri hui jawani hai
hawa k hath p likhay hain woh sabhi shikway
k jo nazr se kabhi kunj e lab p aa na sakay
woh sab khayal mray muntashir hawaon se
kisi bhi nukta e mani p sar jhuka na sakay
me in hawon se keh doon k un se ja k kahain
yeh raat ab bhi usi chaand ko bulati hai
bikairitay hain sitaray jo roop ka kundan
nighahe shouq usi rastay p jaati hai
*************** |