* kanch nazuk hain khwab nazuk hain *
kanch nazuk hain khwab nazuk hain
tum qadam soch kar idhar rakhna
khailnay ka tujhe hai shouq magar
in chatanoon pe bhi nazar rakhna
teray dil me hai arzoo ki kiran
teri aakhoon me khwab hain kal ke
teray hathoon me rang titlie hain
tery chehray pe azm hain dehkay
mery aangan ki kanch ki guria
apni qismat ka imtihaan na le
mein tujhay shad dekhna chahoon
tu andhairoon ka aasman na le
dil pe beti jo mein ne seh li hai
khaar raahoon se teri chunn loon gi
teri har ik khushi aziz mujhay
tujh ko sansar ik naya doon gi
meri guria magar yeh kehti hai
mujh ko dunya tu dekh lena do
kya hua gar mujhay bhi zakhm milain
ghame hasti ka waar sehne do
********************* |