* deryao'n ko sar krna aasaan nahin jana'n *
deryao'n ko sar krna aasaan nahin jana'n
jungle ka safar krna aasaan nahin jana'n
ik teri mohabbat me tha khud ko fana krna
yeh kaam magar krna aasaan nahin jana'n
ik deep mohabbat ka jugno ki tarah roshan
hr shab ki sahar krna aasan nahin jana'n
is behr e talatum ki hr mauj paresha'n hai
ik seep me ghar krna aasaan nahin jana'n
yeh arz o sama meray honay ki gawahi hain
ab zeest basr krna aasaan nahin jana'n
yeh zakhm nahin jana'n jeenay ka sahara hain
zakhmoo'n ko hunr krna aasaan nahin jana'n
ik koh e nida jaisay is dil me guzeeda hai
aflaak me der krna aasaan nahin jana'n
Shaista mufti
|