* Rah-e-safar me'n qadam qadam par shajar kayi saaya-daar aaye *
Rah-e-safar me'n qadam qadam par shajar kayi saaya-daar aaye
Magar inhii'n aablo'n ke neeche takaan apni utaar aaye...............!
Ajeeb wahshat baras rahi thi ajeeb mausam tha be-dili ka.............
Na jaane kis ki ye'h anjuman thi na jaane kis ko pukaar aaye........!
Tumhaari basti me'n ajnabi the magar sabho'n ne hame'n nawaaza
Kisi ne kaa'nto'n ka taaj bheja kahi'n se phoolo'n ke haar aaye......!
Shajar se patte bhi jhaR chuke hai'n badan ki sab tahniyaa'n hai'n khaali
Khizaa'n ka mausam guzar chuka hai kaho ke fasl-e-bahaar aaye.....!
Ye'h sach hai ab ke junu'n ke mausam me'n reza'h reza'h bikhar chuke the
'Shamim' phir bhi na jaane kaise kisi ki zulfe'n sa'nwaar aaye.............! |