donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chhat tapakti hai, na deewaar se sar lagta hai.... *
Chhat tapakti hai, na deewaar se sar lagta hai....
Ab ye'h ghar mujh ko kisi aur ka ghar lagta hai..!
Uski khaamosh-nigaahi ka asar hai ab tak...........
Ab u'se dekhna chaahu'n bhi to dar lagta hai.......!
Ab chahakta nahi'n shaakho'n pe parinda koyi......
Phal ke hote hue weeraan shajar lagta hai............!
Barf ki tarh wo'h rahta hai mere pahlu me'n...........
Aur jab haath lagaao to sharar lagta hai................!
Ab na yaado'n ki hai waadi, na koyi dasht-e-khyaal..
Kitna dushwaar ye'h saa'nso'n ka safar lagta hai......!
Maal-o-zar, izzat-o-shohrat hai ataa-e-Rabbi............
Sakht hairat hai, tujhe kasb-e-hunar lagta hai........?!
Uske dil ko bhi suku'n aa gaya mujh ko bhi qaraar...
Uski khaamosh duaao'n ka asar lagta hai.................!
Ek zamee'n thi, wo'h mere paao'n ke neeche se gayi..
Aasmaa'n bhi mujhe ab zer-o-zabar lagta hai............!
Dil ka mausam bhi ajab torfa-tamaasha hai 'Shamim'..
Shaam ka waqt mujhe waqt-e-sahar lagta hai............!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 396