donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Afsos ye'h nahi'n ke mera sar na aa saka........ *
Afsos ye'h nahi'n ke mera sar na aa saka........
Qaatil ke haath me'n koyi kha'njar na aa saka..!
Jismo'n ke darmiyaan hi karta raha safar......
Wo'h shakhs meri rooh ke andar na aa saka....!
Is gham me'n sookhti gayi chaRhti hui nadi...
Uske qareeb pyaas ka lashkar na aa saka.....!
Sheesha ba-dast phirta raha mai'n yahaa'n wahaa'n
Lekin kisi bhi samt se patthar na aa saka.......!
Shaam-o-sahar ke beech rahi jis ki justaju......
Meri nigaah me'n wahi manzar na aa saka.......!
Khanjar ba-kaf the log magar mutmaiin raha...
Qatra lahu ka jism se baahar na aa saka...........!
Khud ko ghata ke aaj wahaa'n tak mai'n aa gaya
Koyi bhi mere qad ke baraabar na aa saka.........!
Dasht-e-junu'n me'n khud hi saraab-aashna raha
Mere qareeb koyi samundar na aa saka..............!
Apni ana ki qaid me'n wo'h bhi raha 'Shamim'.....
Mai'n bhi hisaar-e-zaat se baahar na aa saka........!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 391