donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Samundaro'n me'n sabhi kashtiyaa'n utaar aaye *
Samundaro'n me'n sabhi kashtiyaa'n utaar aaye
Ke ab thake hue zehno'n ko kuchh qaraar aaye..!
Ek eik shab thi qayaamat ki, din tha roz-e-hisaab..
Tere dayaar me'n ek umr ham guzaar aaye........!
Is intezaar me'n baithe hai'n gul-farosh-e-chaman..
Kali se phool bane aur kuchh nikhaar aaye..........!
Ab is maqaam pe dil hai ke kuchh nahi'n parwaah....
Khizaa'n ki fasl ho ya mausam-e-bahaar aaye.......!
Ab is ke baad mile ho to is se kya haasil...............
Tumhe'n to raat bahut door tak pukaar aaye........!
'Shamim' koocha-e-janaa'n me'n aur kya kartye......
Bas eik jaan bachi thi use bhi waar aaye.............!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364