donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chala gaya tha wahaa'n se wo'h ek zamaana hua *
Chala gaya tha wahaa'n se wo'h ek zamaana hua
usi gali se magar mera aana-jaana hua.............!
Ruke hue the kuchh aa'nsu hamaari palko'n par
ye muskuraana ye ha'nsna to ek bahaana hua....!
Qadam qadam pe sa'nbhalna bahut hi mushkil tha
wo'h tez-rau tha mujhe chhod kar rawaana hua...!
Kahaa'n hue kahi'n marzi se ham qayaam-pazeer
wahi'n ke ho gaye jis ja ka aab-o-daana hua.........!
Jahaa'n pe raat ne baahe'n samet li apni..............
wahi'n pe khatm teri zulf ka fasaana hua..............!
Ye kaun hai jo mere saath chal raha hai 'shamim'...
mujhe to khud ko bhi chhode hue zamaana hua.....!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374