* Kab se dariya me'n pada hu'n maahi-e-be-aab kar *
Kab se dariya me'n pada hu'n maahi-e-be-aab kar
kuchh junu'n ki wahshate'n de kuchh mujhe ba-taab kar..!
Eik hi nuqte pe simti jaa rahi hai kaainaat
ab zara thahre hue paani ko bhi girdaab kar..!
Saazishe'n maujo'n ki aakhir kab talak sahta rahu'n
ya mujhe paayaab kar de ye mujhe gharqaab kar..!
Is zamaane me'n jahaa'n sooraj ki bhi qeemat nahi'n
mai'n to ek zarra sahi lekin mujhe naayaab kar..!
Baadalo'n ki tarh ma'ndlaate hue mat yu'n guzar
khushk hai kab se zamee'n apni ise sairaab kar..!
Us se milne ki tamanna chhod de so ja 'shamim'
apni aa'nkho'n ko khuda ke waaste be-khaab kar..! |