donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phir woh toofan kahin aaj na aale mujh ko *
Phir woh toofan kahin aaj na aale mujh ko 
Ye tere bas me agar hai to bacha le mujh ko 
Kitni yadon ke tarashidah guhar mil jate  
Aik darya hoo'n magar kaun khangale mujh ko 
Aaj bhi dekh parha ho usi chaurahe par 
Gum kiya tha jahan toone wahin pale mujh ko 
Raat hote hi nikal jaunga sihra ki taraf 
Din ki chubhti huee nazron se chupale mujh ko 
Us se kah do ke mujhe daryaon me 
Sang ki tarah faza me na uchhale mujhko 
Waqt ka pher hai , chalna hai muqaddar mera 
Woh agar shab ka musafir hai sanbhale mujh ko 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363