donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kitab kaun sii hai,aur kis zabaan mei'n hai, *
Kitab kaun sii hai,aur kis zabaan mei'n hai,
Suna hai zikr hamara bhi dastaan mei'n hai,

Usi ne dhoop mei'n chalne kii jeet li bazi,
Woh aik shakhs jo muddat se saiban mei'n hai,

Zamee'n ko jab hi ugana hai,woh ugayegi,
Mujhe pata hai mera rizq aasma'n mei'n hai,

Woh laut aaye to apni bhi kuchch khabar doo'nga,
Mere lahoo ka parinda abhi urhaan mei'n hai,

Use bhi chorh ke ab hausla nahi'n baaqi,
Woh ek teer jo ab tak teri Kaman mei'n hai,

Yahee'n kahee'n na kahee'n hai Shamim Farooqui,
Agar yaqee'n mei'n nahie'n hai to phir gumaan mei', hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 425