donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri inaayato'n ke talabgaar aa gaye...... *
Meri inaayato'n ke talabgaar aa gaye......
Rahmat pukaar utthi gunahgaar aa gaye..!
Ham na-sapaas log kahaa'n ja ke ab rahe'n....
Basti me'n saare shahr ke hushyaar aa gaye..!
Ek shakhs kar raha hai gham-e-ishq ka ilaaj..
Hairat se dekhne u'se beemaar aa gaye.....!
Be-manzari, shikasta-dili, khokhli ha'nsi...........
Ye'h shahr-e-aarzoo hai..! to bekaar aa gaye..!
Ek lamha-e-sukoon mila muddato'n ke baad.......
U's ko bhi chheenne mere gham-khaar aa gaye..!
Jaise kaha ke shahr me'n amn-o-amaan hai...
Lekar 'Shamim' subh ka akhbaar aa gaye......!
***************2****************
Teri mohabbato'n ke giraftaar aa gaye..
Yaani aziiato'n ke talabgaar aa gaye......!
Ye'h jaante hue ke khareedaar hi nahi'n....
Ham khaab bechne sar-e-baazaar aa gaye..!
Ek phool apne waqt se pahle mahak utha.......
Jaane kahaa'n kahaa'n se khareedaar aa gaye..!
Dekha ke bazm-e-yaar me'n ghairo'n ki bheed hai..
Chup-chaap uth ke ham pas-e-deewaar aa gaye....!
Bas eik baar koocha'h-e-jaanaa'n ka rukh kiya...
Phir u'ske baad khud hi sar-e-daar aa gaye.......!
Taakheer kab 'Shamim' ne ki hai mere huzoor..
Jis waqt nee'nd se hue bedaar...aa gaye.......!!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 351