donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* In'aam ghazab ka hai, ghazab ki hai saza bhi.................. *
In'aam ghazab ka hai, ghazab ki hai saza bhi..................
Shaamil bhi kahi'n mujh me'n hai aur mujh se juda bhi..!
De'n shauq se beemaar-e-mohabbat ko dawa bhi...........
Lekin u'se milti rahe daaman ki hawa bhi.......................!
Kya tum ko bataau'n mai'n khamoshi ka wo'h aalam........
Gum hoke jahaa'n rah gayi khud apni sada bhi...............!
Dil hi nahi'n chalte hue shaana bhi dukha hai..................
Ye'h bojh mohabbat ka utha bhi hai gira bhi...................!
Hairat nahi'n ke chhod ke jaana hi u'se tha......................
Wo'h shakhs mere saath bahut der raha bhi....................!
Din raat barasti hui aa'nkho'n ki jhadi se.........................
Sharma ke guzar jaati hai saawan ki ghata bhi.................!
Thahra to rahe ho mujhe tum moorid-e-ilzaam................
Lekin kisi se mai'n ne koyi harf kaha bhi..........................! 
Aati thi kabhi ghuncha'h-e-dil ko bhi khilaane...................
Katra ke guzar jaati hai ab baad-e-saba bhi......................!
Kya gham hai 'Shamim' aaj agar tez hawa hai..................
Ye'h dil ka diya roz jala bhi hai bujha bhi........................!!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388