donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Samundar ki taho'n me'n laal-o-gouhar chhod aaye hai'n.... *
Samundar ki taho'n me'n laal-o-gouhar chhod aaye hai'n....
Ke jaise koocha-e-jaanaa'n me'n patthar chhod aaye hai'n..!
Hamaari jaagti aa'nkhe'n safar me'n saath chalti hai'n.........
Zamaana ho gaya khaabo'n ka bistar chhod aaye hai'n........!
Hamaari tashnagi ne cha'nd qatro'n par qanaa'at ki.............
Tumhaare waaste saara samundar chhod aaye hai'n...........!
Koyi taara achaanak toot kar daaman se aa lipta..................
U'se kis dil se ham jaa kar falak par chhod aaye hai'n...........!
Ye'h ek weeraan sa khaali makaa'n hai jhaa'nkte kya ho.......?
Jo kuchh is dil ke andar tha wo'h baahar chhod aaye hai'n.....!
Wahi shaam-o-sahar, baazaar- kooche hai'n, wahi raate'n.....
Kahi'n lagta hai in aa'nkho'n ka manzar chhod aaye hai'n.......!
Hamaari laash khud ham se sawaale'n karti rahti hai..............
Kahaa'n dil jaa ke rakkha hai kahaa'n sar chhod aaye hai'n...?!
Hamaare paas to kuchh bhi nahi'n tha ai gham-e-jaanaa'n......
Tumhaare waaste bas deeda'h-e-tar chhod aaye hai'n...........!
Taqaaze aur bhi the rahguzaar-e-zindagaani ke.....................
Bahut peechhe te'ri yaado'n ka lashkar chhod aaye hai'n.........!
To phir kyo'n bojh lagta hai wajood apna 'Shamim' aakhir......?
Na ghar ne ham ko chhoda hai na ham ghar chhod aaye hai'n..!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 434