donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* LaRkhaRaana meri fitrat ko gawaara bhi to tha......... *
LaRkhaRaana meri fitrat ko gawaara bhi to tha.........
Har qadam par teri baa'nho'n ka sahaara bhi to tha...!
DhaRkane'n saaf sunaayi nahi'n deti'n kaise...............
Wo'h jo ek dil tha tumhaara wo'h hamaara bhi to tha..!
Ham ke khud le ke chale aaye bha'nwar me'n kashti...
Warna is bahr-e-mohabbat ka kinaara bhi to tha........!
Chaa'nd ru-posh agar ho gaya hone dete.............
Aasmaa'n par meri qismat ka sitaara bhi to tha.....!
Tum ne khud muR ke na dekha to bhala kya karta...
Mai'n ne har moR pe ja ja ke pukaara bhi to tha.....!
Ho gaye door to duniya se shikaayat kaisi................
Do ghaRi saath kabhi ham ne guzaara bhi to tha.....!
Aaj barham hai'n to kyo'n mujh se shikaayat hai 'Shamim'
U's ki zulfo'n ko kabhi mai'n ne sa'nwaara bhi to tha....!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372