donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aisa lagta hai iraada'h ab ke mustahkam na tha........... *
Aisa lagta hai iraada'h ab ke mustahkam na tha...........
Ghar ke chhutne ka u'se zarra'h braabar gham na tha..!
Door tak phaila hua hai eik anjaana sa khauf................
Is se pahle ye'h samundar is qadar barham na tha........!
PeR, paude, phool, patte, sab ke sab shaadaab the......
In ghataao'n ke barasne ka abhi mausam na tha..........!
Kitni aa'nkhe'n khaab ke khaano'n me'n bat kar rah gayi'n
Kitne chehre bujh gaye lekin kahi'n maatam na tha.......!
Ban gayi meri sadaa-e-dard sahra ki azaa'n....................
Log kya sunte ke haatho'n me'n koyi parcham na tha....!
Saaneha aisa bhi guzra hai bhari barsaat me'n................
Har taraf paani tha lekin khet apna nam na tha.............!
Apni apni zaat ka gham le ke sab ke sab 'Shamim'..........
U's jagah pahu'nche jahaa'n koyi kisi se kam na tha........!
********
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394