donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hamrah chal raha tha magar dekhta naa tha, *
Hamrah chal raha tha magar dekhta naa tha,
Jaise ke woh kabhii ka mera aashna na tha,

Saare badan pe aag kii laptei'n sawaar thie'n,
Dariya mei'n koodne ke siwa raasta naa tha,

Ik doosre se door rahe ham tamaam umr,
Waise hamaare beech koi faasla na tha,

Khwabo'n ke par jale hue bikhre the chaar soo,
Akhbaar kah raha hai,koi ghar jala na tha,

Ham apne gham kude se nikalte to kis tarah,
Taale parhe hue the,koi dar khula na tha,

Kitna azeem shakhs hai,har gham ke bawajood,
Yo'n ha'ns raha hai jaise,kabhii kuchch hua na thaa.

Woh din bhii yaad hai ke isi shahar mei'n Shamim,
Mai'n kho gaya thaa, aur koi dhoond Ta na thaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 429