* Ugi na fasl to mitti meri kharaab na thi............ *
Ugi na fasl to mitti meri kharaab na thi............
Haa'n is se pahle kabhi is qadar be-aab na thi..!
Wo'h jis ke seene me'n ek ilm ka khazaana tha
U'si ke paas mohabbat ki ek kitaab na thi........!
Ye'h sach hai mai'n ne u'se aa'nkh bhar ke dekha tha
Nigaah u's ki kabhi maael-e-hijaab na thi..........!
Agar hai kuchh to faqat dard-e-aashnaayi hai....
Ke be-rukhi to kabhi wajh-e-izteraab na thi......!
Wo'h haadsa'h meri aa'nkho'n ko kar gaya kheera'h
Mai'n u's ko dekhta kaise nazar ko taab na thi...!
Phir aur kya tha mere dasht-e-gumrahi me'n 'Shamim'...?
Khayaal-e-yaar na tha, waadi-e-saraab na thi......!!
******** |