donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Syed Iqbal Rizvi Sharib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Safar hai aur ghar chutn-e ka gham bhee *

SAFAR-E- KARBALA


( Imam Husain ka Madin-e se Karbala ka Safar)


By Syed Iqbal Rizvi "Sharib"

Safar hai aur ghar chutn-e ka gham bhee
Hain ham rah-e safar sab muhtaram bhee

Panah-e dee-n jo hai khud be panah hai
aur us per hain zaman-e ke sitam bhee

Chalo Asghar tumhein chalna padega
Bahen Sughra kee gar aankhein ho num bhee

Mahajir bhee hain aur naasir bhee maula
Buland rakheinge Islami alam bhee

Yazeedo Shimr -o ibn-e Saad-o Hurmul
pasheman ho gaya unse sitam  bhee


Mera Maula karega zabt-e kaamil
Nikal jayee agar Akbar ka dum bhee

Sitam be inteha lafzon se bahar
Tera aajiz hua Sharib qalam bhee.


****

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1871