A salam by Syed Iqbal Rizvi "Sharib"
Sab ko Islam per nesar kiya
Kis ne is darjah dee(n) se pyaar kiya
Fasiq-ue be-haya panap na saka
yun zamaan-e ne dar kinar kiya
Kam theiy deen kee hifazat mein bahot
Aale Zahra ne baar baar kiya
Deen-e Allah aur Akbar Mein
Shah ne Akbar ko hee nesaar kiya
Mas-ala jab baqua-e deen ka utha
Huq ne Sarwar pe aitbar kiya
Hon woh Asghar ke sin-raseedah Habeeb
Zulm per aik jaisa waar kiya
Kaise kah doon ke woh Musalman hai
Jis ne mursal ko sogwaar kiya
Kum sukhan thee tery zubaan Sharib
Madh-e Maula mein tez dhaar kiya
****