donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Syed Iqbal Rizvi Sharib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek kalee sa khila mera man, *

Ek kalee sa khila mera man,
AAj khushion kee meethi chubhan,

Uske Aansoo mere hain nayan
Isko kahte hain deewanapan

Ishq mein hai ajab ek suroor
dil ko rakhta hai har dam magan

Jhooth aasaan nahin bolna
hoti hai atma mein mein ghutan


Sab bhala hai agar tum bhale
Tum na rakhna kisee se jalan

Phool, Khushboo ,pawan Titliyaan
yeh mitaat-e hain mery thakan

Ek bachhe kee sadah hansi
jaise suraj kee pahlee kiran

Meri Bhasha saral, sur madhur
phir na kyoon mujh mein ho baankpan

Husn Qudrat ka shahkar hai
har haseen shai ko mera naman


Tum ko soncha to aisa laga
har taraf hai chaman hee chaman

Tera Sharib jo m-u-n saaf hai
Achche lagt-e hain tere kathan.


एक कली सा खिला मेरा मन
आज खुशियों की मीठी चुभन

उसके आँसू , मेरे हैं नयन
इसको कहते हैं दीवानापन

इश्क में है अजब एक सुरूर
दिल को रखता है हरदम मगन

झूठ आसां नहीं बोलना
होती है आत्मा मे


**************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 494