donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Syed Iqbal Rizvi Sharib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khoon-e dil ankhon se tapkane ko jee chahta hai *

Khoon-e dil ankhon se tapkane ko jee chahta hai
Ghame Shabbir mein lut jaane ko jee chahta hai

Tapt-e maqtal mein jhulaste huae pyason ki qasam
Shiddat-e pyaas se mar jaaneko jee chahta hai.


Wadi-ye Karbobala humko Jena-n se hai azeez
Chorkar isko kahan jaane ko jee chahta hai ?

Hur se khaati ka muqaddar jo bana dete hon,
Aise Maula ka Karam pane ko jee chahta hai


Madh-e maula mein Nusayri to nahin ban sakta
Haan magar hud se guzar jane ko jee chahta hai


Karbala husn-e aqueedat ka hai sagar Sharib
Bar bar jismein utar jaane ko jee chahta hai
****

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 528