donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Syed Mahmood Talib Khundmiri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khatmalon ki faryaad *

Khatmalon ki faryaad is one of his famous Nazms 


Ek din ek jonk se kuch khatmalon ne yeh kaha,
Dijiye khala hame bhi koi aisa mashwara,
Ab Bajaye khoon koi aur hi shaey pi sakein,
Admi se door rehkar ham Khushi se jee sakein,
Kyunki iss me khoon ab kam kam hi paya jaye hai,
Ab na choosa jaye hai isko na chaata jaye hai,
Iski sheeryanon me yu toh khoon milta hi nahi,
Mil bhi Jata hai toh iss me zayqa kuch bhi nahi,
Kaun jaane kya bala khane laga hai admi,
Kis milawat ki ghiza khane laga hai admi,
Hum Jo peete hain usey khoon maannaa bekaar hai.
Kyunki iska rang bhi pehchanna dushwaar hai,
Isme surqi se zyada hai safedi aajkal,
Khoon ki surat hogayi hai doodh ki si aajkal,
Ek zamana tha ke hamne khoon ke darya bhi piye,
Aaj Ghanton choostey hain ek khatre ke liye,
Kya kahein khala hamari pyaas bhujti hi nahi,
Isse pehle yeh girani khoon ki thi hi nahi,
Ab haseeno ki rago mein bhi ab lahu bakhi nahi,
Inki mehfilon mein bhi koi khoon bhara sakhi nahi,
Pehle Inka khoon hua karta tha manind sharab,
Yu mahekta tha rago me jaise gulshan me gulab,
Choostey hi inko apna bhi nikharta tha shabab,
Ek nayi karvat badalta tha badan me aztarab,
Booye khono se mast ho kar jhoomne lagte they hum,
Apni apni khatmaliyo ko choomne lagte they hum,
Hogaye hain aajkal woh naujawaan bhi badmazaa,
Jinki sheeryano mein behti thi kabhi joo-ye tila,
Jinka khoon peete hi aksar mauj me aate the hum,
Moo lagte hi jinhe sar-shar hojate they hum,
Ab unhi ko choos kar bimar padjate hai hum,
Sukh jatey hain,sukad jatey hain,sad jatey hain hum,
Ab kahan tak hum karein apne ghamo ka tazkera,
Kuch Dino pehle hamare saath aisa bhi hua,
Phoot Nikli thi hamare jism se gaanje ki boo,
Peeliyaa tha bhool kar humne Jo hippi ka lahoo,
Kya kahein kya kya balaa,kya khahar unke khoon me hai,
Tiktweenty se zyada zehar unke khoon me hai,
Apni sari chashni khone laga hai admi,
Haye! Kitna be-maza hone laga hai admi,
Sun chuki hai khatmalon ki dastani tishnagi,
Ek adaaye khoon chakaan se jonk yeh kehne lagi,
Aaj tak tune piya hai sirf janta ka lahu,
Ab Zara pi kar toh dekho ek neta ka lahu,
Ab toh mera bhi guzara hai inhi ke khoon par,
Kya bataoon mai ke isme zaiqa hai kis qadar,
Unka khoon pikar bahot maqmoor hojati hoon Mai,
Aam jonko ke ghamo se door ho jati hoon Mai,
Mu lagte hi unhe chalaak hojati hoon Mai,

Be-zarurat hi sahi be-bak hojati hoon mai,
Unki har shiryaan hoti hai khazana khoon ka,
Ek ek neta hai goya karkhana khoon ka,
Kis qadar Khush zaiqa hota hai un sab ka lahu,
Bhooki janta ka lahu bhi kuch lahu hai,aakh! Thoo!,
Ek bhi khatrra kisi Neta ka Jo paa jayega,
Usko janta ke lahu ka bhi maza aajayega!!,

&&&&&&&&&&&&&&&
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 531