donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
mazameen
Share on Facebook
 
Islamic Articles -->> Islamiyat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
Author : Hazrat Maherul Quadri
Title :
   Quran ki fariyaad

Quran ki fariyaad
 
By Hazrat Maherul Quadri
 
TaaqoN meN sajaya jata huN, aankhoN se lagaya jata huN
Ta’veez banaya jata huN, dho dho ke pilaya jata huN
 
Juzdaan hareer o resham ke aur phool sitaray chaandi ke
Phir itr ki baarish hoti hai khushboo meN basaya jata huN
 
Jis tarah totay maina ko  kuchh bol sikhaye jata haiN
Is tarah padhaya jata huN is tarah sikhaya jata huN
 
Jab qaul o qasam lene ke liye, takraar ki naubat aati hai
Phir meri zaroorat padti hai haathoN meN uthaya jata huN
 
Dil soz se khali rahte haiN aankheN haiN ken nam hoti hi nahiN
Kahne ko to ek ek jalse meN padh padh ke sunaya jata huN
 
Neki peh badi ka ghalba hai, sachchaayee se badh kar dhoka hai
Ek baar haNsaya jata huN sau baar rulaya jata huN
 
Yeh mujh se aqeedat ke da’awe, qaanoon peh razi ghairoN ke
YuN bhi mujhe ruswa karte haiN aise bhi sataya jata huN
 
Kis bazm se mujhko pyaar nahiN? Kis urs meN meri dhoom nahiN?
Phir bhi main akela rahta huN mujh sa bhi koyee mazloom nahiN
 
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 763