donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Gopaldas Neeraj
Poet
--: Biography of Gopaldas Neeraj :--

 

Gopaldas Saxena 'Neeraj' (popularly known as Niraj or Neeraj) is among the best-known poets and authors in Hindi literature. He is also a famous poet of Hindi Kavi Sammelan. He was born in the small village Puravali of Etawah in Uttar Pradesh, India on 4 January 1924. He wrote under the pen name "Neeraj". His style is considered easy to understand, but has also been compared with high quality Hindi literature. He was awarded Padma Bhushan in 2007.
 
Besides writing, he earned his living teaching in a college and was a well-known Professor of Hindi Literature in Aligarh (U.P.). Several of his poems and songs have been used in Hindi movies and are considered famous. He wrote songs for several Hindi Movies and attained a unique position as a songwriter who wrote with equal facility in both pure Hindi as well as Urdu as opposed to Hindi-Urdu mix, which is increasingly becoming more common. But as per the needs and requirements of the Hindi Film Industry, the majority of his songs are nonetheless, in mixed but chaste Hindi-Urdu languages.
 
In the television interview, Gopaldas Neeraj called himself an unlucky poet which led to his stopping himself from writing film songs and confining himself to just writing and getting his poems published. The reason for this mentioned by him was that at least two or three prominent Music Directors of the Hindi Film Industry for whom he wrote very successful and popular songs, had expired. He mentioned the death of Jaikishan of the Music Duo Shankar-Jaikishan as well as of S.D.Burmanor Sachin Dev Burman, for both of whom he had written highly popular film songs. The deaths of these Music Directors when they as well as Gopaldas Neeraj were at the peak of their popularity, left him very depressed and he made a decision to quit the film industry.
 
Neeraj's poems which appeared in Hindi Movies as songs only added to their popularity. all these songs are in mixed but chaste Urdu-Hindi languages.
 
Song
 
Movie
 
Singer
 
Likhe jo khat tujhe
KANYADAAN
Mohammed Rafi
 
E bhai jara dekh ke chalo
MERA NAAM JOKER
Manna Day
 
Dhiire se jaanaa khaTiyan me.n o khaTamal
CHHUPA RUSTOM
Kishore Kumar
 
Dil aaj shaayar hai
GAMBLER
Kishore Kumar
 
Jiivan kii bagiyaa mahakegii
TERE MERE SAPNE
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
 
Maine kasam lii
TERE MERE SAPNE
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
 
Meghaa chhaae aadhii raat, bairan ban gai ni.ndiyaa
SHARMILI
Lata Mangeshkar
 
Mera man tera pyaasa.....
GAMBLER
Mohammed Rafi
 
O merii o merii o meri sharmiilii aao naa tarasao naa...
SHARMILI
Kishore Kumar
 
Phoolon ke rang se, dil kee kalam se...
PREM PUJARI
Kishore Kumar
 
Rangeela re, Rangeela re, mere man me yoon ranga hai tera mann...
PREM PUJARI
Lata Mangeshkar
 
Showkhiyon mein ghola jaye phoolon ka shabaab,
Usme phir milayee jaaye, thodee see sharaab, Hoga yoon nashaa joh taiyyar, woh pyaar hai...
PREM PUJARI
Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
 
Raadhaa ne maalaa japi shyaam kii
TERE MERE SAPNE
Lata Mangeshkar
 
Karawan gujar gaya, gubar dekhte rahe
NAI UMAR KI NAI FASAL
Mohammed Rafi
 
Subaha na aayee, shaam na aayee...
CHA CHA CHA
Mohammed Rafi
 
Aaj madhosh hua jae re
mera man, mera man, mera man sharaarat karne ko lalchaye re mera man, mera man, mera man.......
SHARMILI
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
 
Khilte hain gul yahaan, khile ke bikharne ko
milte hain dil yahaan, milke bichharhne ko.....
SHARMILI
Kishore Kumar
 
A couple of verses from his writings, which were adopted in movies, are below with their English translation
 
  Nai Umr Ki Nai Fasal (1965)
This song, referred to as "Kaaruwaan Guzar Gaya" has been his most famous. It was subsequently sung by Mohammad Rafi.
 
Music: Roshan; Singer: Mohd. Rafi; Actors: Rajiv and Tanuja;
 
Swapan Jhare phuul se, miit chubhen shuul se
luT gaye shrRingaar sabhii, baag ke babool se
aur hum kha.De kha.De, bahaar dekhate rahe
kaaravaa.N guzar gayaa, gubaar dekhate rahe
 
My dreams lie wilted like flowers, my friends hurt me like thorns
And like the Acacia in fall, I feel plundered of my ornamnets now
I stand, I stare, waiting for spring
My caravan has passed my and and I continue to stare, at it's dusty trail instead
 
Neend Bhi Khuli na Thi ke Haye Dhoop Dhal Gayi
Paanv Jab Talak Uthe ke Zindagi Phisal Gayi
Paat Paat Jhar Gaye ke Shakh Shakh Jal Gayi
Chaah Toh Nikal Saki na Par Umar Nikal Gayi, na Par Umar Nikal Gayi
Geet Ashq Ban Gaye, Swapn Ho Dafan Gaye
Saath ke Sabhi Diye Dhuaan Pahan Pahan Gaye
Aur Hum Jhuke Jhuke Mod Par Ruke Ruke
Umr ki Chadhav ka Utar Dekhte Rahe, Kaaruwaan Guzar Gaya
 
Kya Shabab Tha ke Phool Phool Pyaar Kar Utha
Kya Swarup Tha ke Dekh Aaina Sehar Utha
Is Taraf Zamin Aur Aasman Udhar Utha
Thamke Jigar Utha ke Jo Mila Nazar Utha
Ek Din Magar Yahan Aisi Kuch Hawa Chali
Lut Gayi Kali Kali ke Ghut Gayi Gali Gali
Aur Hum Lute Lute Waqt Se Pite Pite
Saanson Ki Sharab Ka Khumar Dekhtey Rahe, Kaaruwaan Guzar Gaye
 
 
 
Haath Ye Mile Ke Zulf Chand Ki Sawaar Dun
Hauth Yeh Khule ke Har Bahar ko Pukar Lun
Dard Tha Diya Gaya ke Har Dukhi ko Pyaar Dun
Aur Saans Yun ke Swarg Bhumi Par Utar Dun, Bhumi Par Utar Dun
Ho Saka Na Kuch Magar Shaam Ban Gayi Sehar
Woh Uthi Lehar ke Dhay Gaye Kile Bikhar Bikhar
Aur Hum Dare Dare Neer Nain Mein Bharein
Odhe Kar Kafan Pade Mazar Dekhtey Rahein, Kaaruwaan Guzar Gaya
 
 
 
Maang Bhar Chali ke Ek Jab Nayi Kiran Kiran
Dholke Dhumak Uthi Thumak Uthe Charan Charan
Shor Mach Gaya ke Lo Chali Dulhan Dulhan
Gaanv Sab Umad Pada Behak Uthe Nayan Nayan, Behak Uthe Nayan Nayan
Par Tabi Zahar Bhari Gaaj Ek Wah Giri
Puch Gaya Sindoor Tar Tar Huyi Chunri
Aur Hum Aazan Se Dur ke Makaan Se
Palki Liye Hue Qahar Dekhtey Rahe, Kaaruwaan Guzar Gaye
 
The original song as written by Neeraj sahab is as narrated below (the above is the filmi adaptation with some changes):-
 
   Swapn jhare phool se, meet chubhe shool se
   lut gaye singaar sabhi, baag ke babool se
   aur hum khade khade, bahaar dekhate rahe
   kaarvaan guzar gayaa, gubaar dekhate rahe
 
 
 
 
   Neend Bhi Khuli na Thi ke Haye Dhoop Dhal Gayi
   Paanv Jab Talak Uthe ke raah rath nigal Gayi
   Paat Paat Jhar Gaye ke Shakha Shakha Jal Gayi
  Phaans Toh Nikal Saki na Par Umar Nikal Gayi, Par Umar Nikal Gayi
   Geet Ashru Ban chale, Shabd Ho hawnan chale
   Saath ke Sabhi Diye Dhuaan Pahan Pahan chale
   Aur Hum Jhuke Jhuke Mod Par Ruke Ruke
   Umr ki Chadhav ka Utar Dekhte Rahe, Kaaruwaan Guzar Gaya
 
 
   Kya Shabab Tha ke Phool Phool Pyaar Kar Utha
   Kya Swarup Tha ke Dekh Aaina Sehar Utha
   Is Taraf Zamin Aur Aasman Udhar Utha
   Thamke Jigar Utha ke Jo Mila Nazar Utha
   Ek Din Magar chhali woh hawa idhar Chali
   Lut Gayi Kali Kali ke Ghut Gayi Gali Gali
   Aur Hum dabi nazar Deh ki dukaan par
   Daam gaanth ke gawaan bazaar Dekhtey Rahe, Kaaruwaan Guzar Gaya
 
 
   Aankh thi mili mujhe ke ashru ashru been loon
   Hauth Yeh Khule ke choom har nazar haseen Lun
   Dard Tha Diya Gaya ke Pyaar se yaqeen loon
   Aur geet Yun ke raat se chiraag chheen loon, se chiraag chheen loon
   Ho Saka Na Kuch Magar Shaam Ban Gayi Sehar
   Woh Uthi Lehar ke Dhay Gaye Kile Bikhar Bikhar
   Aur Hum lute lute Waqt se pite pite 
   Saans ki sharaab ka khumaar dekhte rahe  Kaaruwaan Guzar Gaya
 
 
   Maang Bhar Chali ke Ek Jab Nayi Kiran Kiran
   Dholke Dhumak Uthi Thumak Uthe Charan Charan
   Shor Mach Gaya ke Lo Chali Dulhan Dulhan
   Gaanv Sab Umad Pada Behak Uthe Nayan Nayan, Behak Uthe Nayan Nayan
   Par Tabi Zahar Bhari Gaaj Ek Wah Giri
   Puchh Gaya Sindoor Tar Tar Huyi Chunri
   Aur Hum Aazan Se Dur ke Makaan Se
   Palki Liye Hue Qahar Dekhtey Rahe, Kaaruwaan Guzar Gaya
   
   Ek roz ek geh chaand jab naya uga
   Naubatein bajein hui chhathi dathaun ratjaga
   Kundali bani ke jab muhoort punyamaya laga
   Isliye ke de sake na mrityu janm ko daga na mrityu janm ko daga
   Ek din na par hua ud gaya pala sua
   Kuchh na kar sake shagun na kaam aa saki dua
   Aur hum dare dare neer nain mein bhare 
   Odh kar kafan pade mazaar dekhte rahe
   Chaah thi na kintu baar baar dekhte rahe Kaaruwaan Guzar Gaya
  Prem Pujari
Movie: Prem Pujari (1970), Music:S.D. Burman, Singer:Kishore Kumar;
Phoolon ke rang se, dil ki kalam se
tujh ko likhi roj paati
kaise bataaon, kis kis tarah se, pal pal mujhe tu satati
tere hi sapne le kar ke soya
teri hi yaadon mein jaaga
tere khayaalon mein uljha raha yoon
jaise ke maala mein dhaaga
 
Taking the colors from flowers, with my heart as the pen, I wrote to you everyday
How can I tell you, in how many ways, your thoughts torment me every moment
I slept with your dreams
Woke up thinking about you
I remained entangled in your thoughts
as if a string of a necklace
 
With Thanks : Wikipedia
 
You are Visitor Number : 2865